Na jaane kyun yuhi baithe baithe,
bewajah ye dil muskura jata hai,
kabhi kabhi uski har choti baat par,
beint-e-han pyaar ata hai.
Jab jab khushi ka mausam hota hai,
jab man ek pyaari si dhun gungunata hai,
uski wohi madhosh muskan yaad kr,
ye dil yuhi muskura jata hai,
han usi muskaan par kabhi kabhi,
beint-e-han pyaa aata hai.
Kabhi kabhi jb mai subha ko,
suraj ki ore dekhta hu,
uska wo jagmagata chehra,
nazaron k saamne aa jata hai.
Han usi noorani chehre pe kabhi kabhi,
beint-e-han pyaar ata hai.
Fir jb udas man se main,
us nadiya kinare ja baithta hu,
ek thandi behti hawa ka jhonka,
uske hone ka ehsaas dilata hai.
Choo kr use ye pagal man,
fir se muskura uthta hai,
jakad kr use apni bahon me dil,
uska deedar krta hai,
han usi shaks pe, har dafa,
mujhe beint-e-han pyaar ata hai.
Thumbs up. like it dude.... :)
ReplyDeletemast hai bhai
ReplyDelete