Aaj baithe baithe ek chehra nazar k samne aa gaya,
bhula baithe the jo wo nagma yaad aa gaya.
Wo chehra wo muskurahat wo aahat kuch aisi lagi,
jaise wo paas mere khada kuch keh raha ho,
mujhse gila shikwa kr raha ho,
ke kyu kia khud se door,
kyu kia mujhe majboor,
ke kareeb tumhare aa na saku,
haal-e-dil bata na saku..
Aur mera dil kambakht khada sochta raha,
khud ko kosta raha,
nahi jee skte the uske bina to use kyu jaane dia,
aapna haal-e-dil use kyu bayaan na kia.
Ab jab sab khatam ho gaya, to ye dil tanha sa rehta hai,
salamat rahe wo ya laut aae wapis bas yehi dua krta hai,
wo aankhon ki chamak yo muskurahat dekhne ko na jaane ye kyun tarasta hai.
Bas chupke se simat kar un haseen lamho ko yaad kr ro leta hai,
jab baithe baithe ek nazar k saamne aa jata hai,
bhula baithe the jo nagma wo fir se yaad aa jata hai.